Monday, January 26, 2009

aah

hum aah bhi lenge to wo ho jayenge badnam

khudaya mujhe maut zara aahiste dena

khwab

Kya jaroori hai har khwab ka haqiqat me badalna

kya jaroori hai har khwab ka anjam khushnuma hona

mai nahi chahta janna is khwab ka anjam

is khwab ke ehsaas se hi mahak uthti hai meri rooh

poora ho ya na mai ye khwab dkeh ke hi khush hoo

bhagwan ko bhakt ka naman

aapke naghmo se mahakta hai ye jaha aaj bhi

gaayiki ka anjam aap hai aur aap hi aaghaz bhi

yugo yugo me bhi koi hoga nahi aapke jaisa

isilie aap par hai sare bharat ko naaz bhi.

pehli rachna(this is my first ever sher/poetry or watever u say)

aasman se bhi ooncha hai jinka mukaam

jinke phan ko duniya aaj bhi karti hai salam

kuchh aur nahi kuchh aur nahi

bas Mohammad rafi hai Unka naam.