Friday, December 16, 2011

Ik mulaqat

याद है वो मुलाक़ात का आलम , हलकी सी बरसात का आलम ?
हम भी चुप थे , तुम भी चुप थे , फिर भी आँखें बोल पड़ी थी

ओढ़ के ख़ामोशी की चादर , सन्नाटे के साए में
सोये से थे होंठ हमारे , पर बरसातें बोल पड़ी थी

देख के तुमको पहले से ही , लफ्ज़ लरज़ कर कम निकले
फिर भी अपने बीच जो बिखरी , वो ख़ामोशी बोल पड़ी थी

लगता था की लफ्ज़ जमे हों , या होंठो पे आके थमे हो
एहसासों की गर्मी पाकर , कुछ उनमे से फूट पड़े थे

कहनी थी एक बड़ी कहानी , कह पाए कुछ लफ्ज़ ही फिर भी
सुनना था इक अफसाना पर , सुन पाए कुछ हर्फ़ ही फिर भी

कह ना सके वो , चुप ही रहे हम
तार दिलो ने जोड़े खुद ही , हर धड़कन यूँ बोल पड़ी थी

खामोश सही पर साथ चले हम , चार घडी पर साथ चले हम
हर वो पल इक युग से बेहतर , यही मुहब्बत बोल पड़ी थी

कहा नहीं पर कह गए सब कुछ , उन आँखों से पढ़ गए सब कुछ
लफ्जों में बयां कब प्यार हुआ है , यही हकीक़त बोल पड़ी थी

ये रिश्ता इक फूल नहीं था , जो मुरझाये पतझड़ में
इस खुशबू से जीवन महका , रूह हमारी बोल पड़ी थी

//Roman script

yaad hai wo mulaqat ka aalam, halki si barsaat ka aalam?
hum bhi chup the, tum bhi chup the, fir bhi aankhein bol padi thi

Odh ke khamoshi ki chaadar, sannate ke saaye me
soye se the honth hamare, par barsaatein bol padi thi

Dekh ke tumko pehle se hi, lafz laraz kar kam nikle
fir bhi apne beech jo bikhri, wo khamoshi bol padi thi

Lagta tha ki lafz jame ho, ya hontho pe aake thame ho
ehsaaso ki garmi paakar, kuchh unme se phoot pade the

Kehni thi ek badi kahani, keh paaye kuchh lafz hi phir bhi
Sunna tha ik afsaana par, sun paaye kuchh harf hi phir bhi

keh na sake wo, chup hi rahe hum
taar dilo ne jode khud hi, har dhadkan yun bol padi thi

khamosh sahi par saath chale hum, chaar ghadi par saath chale hum
har wo pal ik yug se behtar, yahi muhabbat bol padi thi

kaha nahi par keh gaye sab kuchh, un aankho se padh gaye sab kuchh
lafzo me bayan kab pyar hua hai, yahi haqiqat bol padi thi

Ye rishta ik phool nahi tha, jo murjhaye patjhad me
is khushboo se jeevan mehka, rooh hamari bol padi thi

Tuesday, October 19, 2010

डूबेगा किनारा लेकिन, लहरें वापस हो जाएंगी
लहरों की मंजिल है सागर, उसमे ही सिमट जाएंगी
किनारों पर तेरा नाम लिखा है, लिखा ही रहेगा
दिल की उमंगें , बारहा उसे छू के पलट आएंगी

Wednesday, December 9, 2009

bekhudi

ye bekhudi jane kaun se mod pe lekar aa gayi "satyendra",
ke har shai me soorat-e-yaar nazar aati hai.

apne aap ko aaine me dekhta rehta hoo kai baar
ae dost bata kya mujhme nayi baat najar aati hai?

jis shaksh ne Rakhi thi mere saath mohabbat ki asaas
kya usko ab mere minar-e-mohabbat ki oonchai nazar aati hai?



Asas: Foundation
Shai: object
minar-e-mohabbt: tower of love ;)

Tuesday, September 22, 2009

juda kaise karoo

jism ho jayenge ehsaas juda kaise karoo
tere zikra se apni har baat juda kaise karoo
aankhein to hata loo tere chehre se magar
inme base hue tere khwab juda kaise karoo

kaise samjhaoo mai khud ko ki tu ab gair hai
tere khwab bhi mere paas nahi reh sakte
wada karta hoo na aaegi kabhi in labo pe hasrat teri
par dil me basi teri chah juda kaise karoo


hasrat: Wish,desire
ehsas : feeling
Zikra : Mention

Monday, July 13, 2009

Koshish

koshish karta hoon mai, aajkal khush rehne ki

na jaane kaha tak Qaamyab hoon

kyunki wada kiya hai kisi se khush rehne ka

na jaane kaha tak qaamyab hoon

wo jo baste hai hamesha meri rooh me

wo jo shaamil hai meri har justajoo me

chahta hoo unko ilm na ho meri haalat ka

na jaane kaha tak qamyaab hoon.

Koshish karta hoo mai.......

Ilm- knowledge

Friday, March 27, 2009

Patta(Leaf)

KOI PATA NAHI MERA EK PATTA HOO MAI.
SHAKH SE TOOT KAR AAWARA FIRTA HUA PATTA HOO MAI.

NA KOI RISHTA HAI DALI SE NA BANDHAN HAI PED KA
HAWAO KE RUKH PE HI MUQADDAR TIKA HAI.
KABHI MAI BHI THA EK GHANE PED KI CHHAO KA KAARAN
KABHI MAI BHI EK SHEETAL BAYAR ME SHAMIL
PAR WAQT KI AANDHI ME EK JHATKE SE TOOTKAR CHALA JA RAHA HOO NA JANE KAHA.

KYUNKI AAWARA FIRTA HUA PATTA HOO MAI.........................
KABHI FIR NAYI KONPLE NIKLENGI USI SHAKH ME
FIR MERI JAGAH AAYEGA EK NAYA PATTA
AUR FIR WAQT KE GHUBAR ME BHULA DIA JAUNGA
KYUNKI AAWARA FIRTA HUA PATTA HOO MAI
KOI PATA NAHI MERA EK PATTA HOO MAI...................

APNI JADO SE TOOTNE KA SHAYD YAHI ANJAAM HOTA HAI
APNI TEHNIO KO DHOOND PANE ME WO PATTA NAKAM HOTA HAI
AUR ISILIE BHATAK RAHA HOO SHAYAD BINA MANZIL KA
JAISE TOOTI KOI NAIYA GHOOMTI HAI BINA KISI SAHIL KE

KYUNKI AAWARA FIRTA HUA EK PATTA HOO MAI
KOI PATA NAHI HAI MERA EK PATTA HOO MAI.
SHAKH SE TOOTKAR AAWARA FIRTA HUA PATTA HOO MAI.

Monday, January 26, 2009

aah

hum aah bhi lenge to wo ho jayenge badnam

khudaya mujhe maut zara aahiste dena